Here is a beautiful nazam written by Sahir Saheb :-
DEKHAA HAI ZINDAGII KO KUCHH ITNAA KARIIB SE
Dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qariib se
Chehare tamaam lagane lage hain ajiib se
Iss rengatii hayaat kaa kab tak uThaayein baar
Biimaar abb ulajhane lage hain tabiib se
[rengatii = crawling; baar = weight; tabiib = healers]
Har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
Maqtal kii raah milatii hai kuu-e-habiib se
[gaam = step; majamaa = crowd; ushshaaq = lovers (plural of aashiq)]
[maqtal = place where peopel are executed; kuu-e-habiib = friend's street]
Iss tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
Jaise koyii nibaah rahaa ho raqiib se
[raqiib = rival]
ai ruuh-e-asar jaag kahaa.N so rahii hai tuu
aavaaz de rahe hai.n payambar saliib se
[saliib = cross]
SECOND VERSION
Movie: Ek Mahal Ho Sapnon Ka
Singer(s): Kishore Kumar
Music Director: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Dekhaa hai zindagii ko, kuchh itnaa kariib se
Chehare tamaam lagane lage hain ajiib se
Kehane ko dil kii baat jinhein DhuunDhate the ham - 2
Mehafil mein aa gaye hain woh apne nasiib se
Dekhaa hai zindagii ko, kuchh itnaa kariib se
Niilam ho rahaa thaa kisii naazniin kaa pyaar - 2
Qiimat nahiin chukaayii gayii ik Gariib se
Dekhaa hai zindagii ko, kuchh itanaa kariib se
Terii vafaa kii laash pe laa main hii Daal duun - 2
Resham kaa ye kafan jo milaa hai raqiib se
Dekhaa hai zindagii ko, kuchh itnaa kariib se
Sunday, April 27, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment